10 Gharelu Nuskhe In Hindi
Hi Friends, Aaj Main Aapko Bata Raha Hun Kuchh Gharelu Nuskhe Hindi Me Jinka Upyog Kar Aap Apne Health Ka Upchar Ghar Me Hi Kar Payenge.
Ye Gharelu Nuskhe Badi Kaam Ki Chij Hai Aur Aapko Doctor Se Dur Rakh Sakti Hain Aur Aapke Dher Saare Rupye Aur Samay Bacha Sakti Hai.
Gharelu Upchar Karke Aap Apne Dher Saare Paise To Bacha Hi Sakte Hain Sath Hi Sath Apna Kimti Vakt Bhi Bacha Sakte Hian In Gharelu Nuskhe Se.

Toh Aaiye Jaante Hain Kuchh Gharelu Nuskhe Hindi Me
घरेलु नुस्खे | Gharelu Nuskhe
1. गले की खराश | Gale Ki Kharash - Ayurvedic Upchar
Gale Me Kharash Hone Par 2-3 Tulsi Ki Patti Ko Paani Me Ubalen Aur Us Paani Se Garara Karen. Jald Hi Aaraam Milega.
गले में खराश होने पर 2-3 तुलसी की पत्ती को पानी में उबालें और उस पानी से गरारा करें. जल्द ही आराम मिलेगा.
2. पेट फूलना | Pet Ka Phulna - Gharelu Upchar
Khane-Paane Me Gadbadi Ki Vajah Se Pet Ki Samasya Aksar Logon Ko Hoti Hain. Aise Me 1/4 Chamach Baking Soda Paani Me Mila Kar Piyen. Isse Jald Rahat Mil Jaati Hai Aru Aap Kafi Aaram Mahsus Karenge.
खाने-पाने में गड़बड़ी की वजह से पेट की समस्या अक्सर लोगों को होती हैं. ऐसे में 1/4 चम्मच बेकिंग सोडा पानी में मिला कर पिएं. इससे जल्द राहत मिल जाती है और आप काफी आराम महसूस करेंगे.
3. तेज सिरदर्द | Tez Sir Dard - Gharelu Nuskhe
Sirdard Hone Par Seb Ko Chhil Kar Baarik Kaaten. Usme Thoda Sa Namak Mila Kar Subah Khali Pet Khayen. Isse Sir Dard Ke Samasya Bahut Had Dur Ho Jaati Hai.
सिरदर्द होने पर सेब को छील कर बारीक काटें. उसमें थोड़ा सा नमक मिला कर सुबह खाली पेट खाएं. इससे सिरदर्द की समस्या दूर हो जाती है.
4. शरीर पर जलना | Sharir Ka Jalna - Gharelu Upchar
Sharir Par Kahin Jal Gaya Ho, Tej Dhup Se Twacha Jhulas Gayi Ho, Twacha Par Jurriyan Hon Ya Koi Twacha Rog Ho Kachche Aalu Ka Ras Nikalkar Lagane Se Fayda Hota Hai.
शरीर पर कहीं जल गया हो, तेज धूप से त्वचा झुलस गई हो, त्वचा पर झुर्रियां हों या कोई त्वचा रोग हो तो कच्चे आलू का रस निकालकर लगाने से फायदा होता है.
5. Gharelu Nuskhe | मुंह के छाले - Munh Ke Chhale
Pet Saaf Na Hone Ki Vajah Se Munh Ka Alsar Aam Baat Hai. Munh Ke Chhale Hone Par Paka Kela Aur Shahad Milakar Khane Se Turant Raahat Milti Hai. Ya Phir Ise Paste Bana Kar Bhi Munh Me Lagaya Ja Sakta Hai.
पेट साफ न होने की वजह से मुंह का अल्सर आम बात है. मुंह के छाले होने पर पका केला और शहद मिलाकर खाने से तुरंत राहत मिलती है. या फिर इसे पेस्ट बना कर भी मुंह में लगाया जा सकता है.
6. हाई ब्लड प्रेशर | High Blood Pressure - Gharelu Nuskhe
Tanav Ke Karan Higha Blood Pressure Hone Par 3 Gram Methi Dana Powder Subah Sham Paani Ke Saath Len. Ise 15 Dinon Tak Lene Se Laabh Mahsus Hota Hai.
तनाव के कारण हाई ब्लड प्रेशर होने पर 3 ग्राम मेथी दाना पाउडर सुबह-शाम पानी के साथ लें. इसे 15 दिनों तक लेने से लाभ मालूम होता है.
7. अस्थमा | Asthama - Gharelu Upchar
Aadha Chamach Daalchini Powder Ko Ek Chamach Shahad Ke Saath Mix Kar Ke Raat Me Sone Se Pahle Khayen. Is Samasya Se Nijat Milegi.
आधा चम्मच दालचीनी पाउडर को एक चम्मच शहद के साथ मिक्स कर के रात में सोने से पहले खाएं. इस समस्या से निजात मिलेगी.
8. डार्क सर्कल | Dark Circle - Ayurvedic Upchar
Computer Par Jyada Der Tak Kaam Karne Ya Phir Puri Nind Na Lene Ke Kaaran Aankhon Ke Charon Or Dark Circle Ho Jaati Hai. Yah Samsya Hone Par Chehre Par Santre Ke Ras Ko Glisrine Ke Saath Mix Kar Ke Aankho Ke Niche Lagayen. Kuchh Hi Dinon Me Chehra Phir Se Glow Karne Lagega.
कम्प्यूटर पर ज्यादा देर तक काम करने या फिर पूरी नींद न लेने के कारण आंखों के चारो ओर डार्क सर्कल हो जाती है. यह समस्या होने पर चेहरे पर संतरे के रस को ग्लीसरीन के साथ मिक्स कर के आंखों के नीचे लगाएं. कुछ ही दिनों में चेहरा फिर से ग्लो करने लगेगा.
9. बालों में रूसी | Balon Me Rushi - Ayurvedic Upchar
Baalon Me Rusi Hone Par Sir Par Kapur Aur Nariyal Tel Lagayen. Ise Roj Raat Ko Sone Se Pahle Bhi Lagaya Ja Sakta Hai. Aisa Karne Se Kuchh Hi Dinon Me Aapko Asar Dikhne Lagaega.
बालों में रूसी होने पर सिर पर कपूर और नारियल तेल लगाएं. इसे रोज रात को सोने से पहले भी लगाया जा सकता है. ऐसा करने से कुछ ही दिनों में आपको असर दिखने लगेगा.
10 बालों का सफेद होना | Balon Ka Kala Hona - Gharelu Nuskhe
Aaj Ke Yuvaon Me Baalon Ka Safed Hona Bilkul Aam Baat Hai. Baalon Ke Liye Doctor Se Salah Lene Par Hajaron Ka Kharcha Ho Jaata Hai. Sukha Aanvle Ko Bich Se Kaat Kar Nariyal Tel Me Ubalen Aur Phir Usi Tel Se Sir Ki Maalish Karen.
आज के युवाओं में बालों का सफेद होना बिल्कुल आम बात है. बालों के लिए डॉक्टर से सलाह लेने पर हजारों का खर्चा हो जाता है. सूखा आंवले को बीच से काट कर नारियल तेल में उबालें और फिर उसी तेल से सिर की मालिश करें.
Aapke dwara bataye gaye upay bahut hi upyogi hai. Life main aise gahrelu Upay ki jarurat padti hi rahti hai. Bahut acchi post share ki aapne.
ReplyDeleteThank you share this article with us
ReplyDeletewww.hindicroud.com
शानदार पोस्ट, ऐसे ही बढ़ते रहिये :)
ReplyDelete[…] 10 घरेलु नुस्खे | Gharelu Nuskhe (Hindi) […]
ReplyDeletegood post......
ReplyDelete